Armaghan-e-Hijaz

Alam-e- Barzakh | Armaghan-e-Hijaz -04

Alam-e- Barzakh

Armaghan e Hijaz – 04

 The State of Barzakh

Alam-e- Barzakh

Alam-e- Barzakh
 
Marda apni Qabar se
The Corpse to its grave
 
Kya shay hai kis amroz ka farda hai Qayamat 
Ae mare shabistan e kukan kya hai Qayamat?’
 
What is it this Resurrecrtion Day. Of what is it the future
O my ancient sleeping chamber what is resurrestion day
 
Qabar
The Grave
 
Ae murda ay sad sala tujhe kya nahi maloom
Har mout ka poshida taqaza hai Qayamat
 
O corpse of a hundred years do not you know
That every death implies a call for resurrection?
 
Murda 
The Corpse
 
Jis mout ka poshida taqaz hai Qayamat
Uss mout ke phande mein giraftar nahi mein
 
A Death that imples resurrection
Such a death does not entrap me
 
Har chand ke murda ay sad sala walekin 
Zulmat kudda ay khak se bezaar nahi main
 
It is true that i have been dead for a hundred years
But i am not tired of this dark chamber in the earth
 
Ho rooh phir ek bar sawar e badan e zaar
Aesi hai Qayamat to kharidar nahi mein
 
The soul should once again ride the poor body
If this is resurrection then i am not a taker
 
Sada ay Ghaib
A Voice from the unseen
 
Ne naseeb e maar wa kuzdum ne naseeb e dawam wa dad
Hai faqat mekhoom Qoumon ke liye marg e abad
 
Death is not for snakes and scorpions or for birds and beasts
Eternal death is the lot of slave nations alone
 
Bang e israfeel un ko zinda kar sakti nahi
Rooh se tha zindagi mein bhi tehi jin ka jasad
 
Even israfil trumpet connot bring back to life those
Whose bodies when they lived had no souls
 
Mar ke ji uthna faqat azad mardon ka hai kaam
Garcha har zee rooh ki manzil hai agosh e lehad
 
To spring back to life after death only the free can do that
Even though all living being are headed into the arms of the grave
 
 Qabar apne murde se
The Gravve to its corpse
 
Ah zalim tu jahan main banda ay mehkoom tha
Main na samjhi ke hai kyu khak meri  souz naak
 
You vicious creature in the world you were a slave
I had failed to understand why my soil was as hot as fire
 
Teri mayyat se meri tareekiyan tareek tar
Teri  mayyat  se zammeen ka parda ay namoos chaak
 
Your corpse makes my darkness even darker
It rips the earth veil of honour
 
Alhazar mehkoom ki mayyat se sou bar alhazar
Ae sarafeel ae Khuda ay kainat ae jaan e pak
 
 
Sada ay Ghaib
The Voice from the Unseen
 
Garch barham hai qayamat se nizam e hast o bood
Hain issi ashob se beparda asrar e wajood
 
Resurrection upsets the order of the universe
But it is this commotions that reaveals the secrets
 
Zalzale se koh o dar urtte hain manind e sihab
Zalzale se wadiyon mein taza chashmon ki namood
 
An eathquake makes mountains fly like clouds
But  it also starts new springs flowing in the valleys
 
 
Zameen 
The Earth
 
 
Ah ye marg e dawam ah ya razm e hayat
Khatam bhi ho gi kabhi kashmakash e kainat
 
O this eternal death oh this struggle that marks life
Will this conflict in the world ever end,
 
Aqal ko milti nahi apne button se nijaat
Arif o aami tamam band ay laat o  manaat
 
Reason cannot free itself from its idols
The commoners and the elite all are  slaves to lat and manat
 
Khuwaar howa kis qadar adam e yazdaam sifaat
Qalb o nazar par garan aese jahan ka sibat
 
How abject adam the man with divine attributes has now become 
That such a world should continue to exist is more than heart and eye can bear
 
 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *