IBLEES KI MAJLIS-E-SHURA ARMAGHAN-E-HIJAZ 01
IBLEES KI MAJLIS-E-SHURA
DR. ALLAMA MUHAMMAD IQBAL
BOOK: ARMAGHAN-E-HIJAZ 01
Armaghan-e-Hijaz 01, Iblees ki Majlis-e-Shoora (The Devils’s Conference)
is an urdu written by Muhammad Iqbal in 1936.
This poem is written as a meeting between Iblees (the first of the Devils, or satans in Islam) and five his advisers.
Ye Anasir ka purana khail, ye dunya-e-doon
Sakinan-e-arsh e azam ki tamanaon ka khoon
Uss ki bardadi pe ai amada hai who kaarsaaz
Jis ne uss ka naam rakha tha jahan e kaaf-o-noon
Main ne Dikhlaya farangi ko mulukiyat ka khwab
Main ne tora masjid o dair-o-kalisa ka fusoon
Mein ne nadaron ko sikhlya sabaq taqdeer ka
Mein ne munein ko diya sarmayadari ka junoon
kon kar sakata hain uss ki Aatish soozan ko sard
Jis ke hungamon mein ho Iblees ka souz e daroon
Jis ki shakhain hon humari aabiyari se buland
Kon kar sakta hai uss nakhle kukan ko ser nigoon
Phla Musheer
First Councilor
Iss mein kya shak hai ke mukam hai ye Ibleesi nizam
Pukhta tar iss se huwe khuay ghulami mein awam
Hai azal se in gharibon ke muqaddar mein sujood
In ki fitrat ka taqaza hai namaz e be qayam
Arzoo awwal to paida ho nhi sakti kahin
Ho kahin paida to mer jati hai ya rehti hai kam
*In their heart no desire can fact take its birth