Aik Arzoo by Allama Iqbal | Bang-e-Dra : 19
Aik Arzoo by Allama Iqbal
Aik Arzoo by Allama Iqbal
Iqbal Poetry Urdu Tashreeh
Dunya ki mehfilon se ukta gaya hun ya Rab
Kya kutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho
Shourish se bhagta hun dil dhoondta hai mera
Aesa sukoot jis par taqreer bhi fida ho
Merta ho khamashi par ye arzoo hai meri
Daman main koh k ek chota sa jhonpara ho
Azad fikr se hon uzlat main din guzaron
Dunya ke gham ka dil se kanta nikl gaya ho
Lazzat surood ki ho chiryon ke chehchon mein
Chashme ki shourishon main baja sa baj raha ho
Gul ki kali chatak kar paigham de kisi ka
Saghar zara sa goya mujh ko jahan numa ho
Ho hath ka sarhana sabze ka ho bichona
Sharmaye jis se jalwat khalwat main wo ada hi
Manoos iss qadar ho soorat se meri bulbul
Nanhe se dil main uss ke khatka na kuch mera ho
Saf bandhe dono janib boote hare hare ho
Nadi ka saaf pani tasveer le raha ho
Ho dil faraib aesa kuhsar ka nazara
Pani bhi mouj ban kar uth uth ke dekhta ho
Aghosh main zameen ki soya huwa ho sabza
Phir phir k jhariyon main pani chamak raha ho
Pani ko chu rahi rahi ho jhuk jhuk ke gul ki tehni
Jaise haseen koi aeena dekhta ho
Mehndi lage suraj jab sham ki dulhan ko
Surkhi liye sunehri har phool ki qaba ho
Raton ko chalne wale reh jae thak ke jis dam
Umeed un ki mera toota howa diya ho
Bijli chamak ke un ko kutiya meri dikha de
Jab asman pe har so badal ghira huwa ho
Pichle pehr k hoeel wo subah ki mouzan
Mein us ka hamnawa ho wo meri humnawa ho
Kanon pe ho na mere dair o haram ka ehsan
Rozan hi jhonpari ka mujhe ko sahr nuam ho
Phoolon ko ayi jis dam shabnam wazo karne
Rona mera wazo ho nala meri dua ho
Iss khamashi main jae itna buland naale
Taron ke qafle ko meri sada dra ho
Har dardmand dil ko rona mera rula de
Behosh jo pare hain shaid inhain jaga de
A longing
aik arzoo by allama iqbal in english
O lord I have become weary of human assemblages
When the heart is sad no pleasure in assemblages can be
I seek escape from tumult my heart desires
The silence which speech may ardently love
I vehemently desire silence I strongly long that
A small hut in the mountain’s side may there be
Freed from worry I may live in retirement
Freed from the cares of the world I may be
Bird’s chirping may give the pleasure of the lyre
In the spring’s noise may the orchestra’s melody be
The flower bud bursting may give God’s message to me
Showing the whole world to me this small wine cup may be
My arm may be my pillow and the green grass my bed be
Putting the congregation to shame my solitude’s quality be
The nightingale be so familiar with my face that
Her little heart harboring no fear from me may be
Avenues of green trees standing on both sides be
The spring’s clear water providing a beautiful picture be
The view of the mountain range may be so beautiful
To see it the waves sofa water again and again rising be
The verdure may be asleep in the lap of the earth
Water running through the bushes may glistening be
Again and again the flowered boughs touching the water be
As if some beauty looking at itself in mirror be
When the sun apply myrtle to the evening bride
The tunic of every flower may pinkish golden be
When night’s travelers falter behind with fatigue
Their only hope may broken earthenware lamp may be
May the lightning lead them to my hut
When clouds hovering over the whole sky be
The early dawn’ cuckoo that morning mu adhadhin
May my confidante he be and my his confidante I be
May I not be obligated to the temple or to the mosque
May the huts hole alone herald of morning’s arrival be
When the dew may come to perform the flower’s ablution
May wailing my supplication weeping may ablution be
In this silence may my heart’s wailing rise so high
That for star’s caravan the clarion’s call my wailing be
My every compassionate heart weeping with me be
Perhaps it may awaken those who may unconscious be
Full Book with Translation BANG-E-DRA