Bang-e-Dra

Mirza Ghalib || Iqbal about Mirza Ghalib Bang e Dra – 004

Mirza Ghalib

Book : Bang e Dra – 004

by DR. Allama Muhammad Iqbal

Full Urdu Translation Iqbal about Mirza Ghalib

Mirza Ghalib

2nd Part Translation

Roman Urdu

Allama Muhammad Iqbal ki Mirza Asadullah khan Ghalib bar ma poem

Fikar e insan per teri hasti se ye roshan huwa
Hai per e muragh e takhayul ki rasyi ta kuja

Tha sarapa rooh tu bazm e sukhan pekar tera
Zaib e mehfil bhi raha mehfil se pinhan bhi rah

Deed teri ankh ko uss husan ki manzoor hai
Ban ke souz e zindagi her shay mein jo mastoor hai

Mehfil e hasti teri barbat se hai samayadar
Jis tarah naddi ke naghmon se sakoot e kohsar

Tere fedous e takhayul se hai qudrat ki bahar
Teri kisht e fikar se ugte hain alam sabza war

Zindagi muzmer hai teri shaukhi e tehreer mein
Tab e goyai se junbish hai lab e tasveer mein

Nutaq ko so naz hain tere lab e ejaz per
Mehv e hairat hai surayya rifat e parwaz per

Shahid e mazmoon tassaduq hai tere andaz per
Khandazan hai gunch e dilli gul e shiraz per

Ah tu ujhari huwa dilli mein aramida hai
Gulshan e weimar* mein tera humnawa khawabida hai
Weimar : germani ka mashoor shayar goethe iss jagha madfoon hai

Lutaf e goyai mein teri humsari mumkin nahi
Ho takhayyul ka na jab tak fikar e kamil hum nasheen

Haya ab kya ho gi hindustan ki ser zameen
Ah ae nazara amoz e nigha e nukta ben

Gaisuay urdu abhi mannat pazeer e shana hai
Shama ye sodai e dilsozi e perwana hai

Ae jahan abad ae gehware e ilm o hunar
Hain sarapa nala e khamosh tere baam o der

Zarre zarre mein tere khabidah hain shamas o qamar
Yun to poshida hain teri khak mein lakhon gohar

Dafan tujh mein koi fakhar e rozgar aesa bhi hai?
Tujh mein pinhan koi moti aab dar aesa bhi hai?

English

Iqbal about Mirza Ghalib

Through you the secret was revealed to the human intellect
That innumerable enigmas are solved by human intellect

You were the complete soul literary assembly was your body
You adorned as well as remained veiled from the assembly

Your eye is longing to witness that veiled beauty
Which is veiled in everything as the pathos of life

The assemblage of existence is rish with your harp
As mountain’s silence by the brook’s melodious harp

The garden of your imagination bestows glory on the universe
Form the field of your thought worlds grow like meadows

Life is concealed in the humour of your verse
Picture’s lips move with your command of language

Speech is very proud of the elegance of your miraculous lips
Thurayyah is astonished at your style’s elegance

Beloved of literature itself loves your style
Dehli’s bud is mocking at the rose of shiraz

Ah you are resting in the midst of Delh’s ruins
Your counterpart is resting in the Weimar’s garden

Matching you in literary elegance is not possible
Till maturity of thought and imagination are combined

Ah what has befallen the land of india
Ah the inspirer of the super critical eye

The lock of urdu’s hair still craves for combing
This candle still craves for moth’s heat felt pathos

O Jahanabad o cradle of learing and art
Your entire super structure is al silent lament

The sun and the moon are asleep in every speck of your dust
Though innumerable other gems are also hidden in your dust

Doses another world famous person like him also lie buried in you?
Does another gem like him also lie congealed in you?

Full Book with Translation BANG-E-DRA

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *