Short Poetry Iqbal

Khuftagan-e-khak se istafsar | Bang-e-Dra-013

Khuftagan-e-khak Se Istafsar
Khuftagan-e-khak Se Istafsar

Bang-e-Dra -013

Khutagan e khKhuftagan-e-khak se istafsar

Mehr-e-Roshan chup gaya, uthi niqab e ruye sham

Shan-e-hasti pe hai bikhra huwa gaisuay sham

Ye seyh poshi ki tayari kisi k gham mein hai

Mehfil e qudrat magar khurshid ke matam mein hai

Ker raha hai asaman jadoo lab e guftar per

Sahar e shab ki nazar hai digah e beedar per

Ghota zan daryae khamoshi mein hai mouj e hawa

Haan magar ek door se ati hai awaz e dra

Dil ke hai betabi e ulfat mein duniya se nafoor

Khanch laya hai mujhe hangama e alam se door

Manzar E herman naseebi ka tamshayi hun main

Hum nasheen e khuftagan e kunj tanhai hun main

Tham zara betabi e dil baith jane de mujhe

Aur iss basti pe char ansu girane de mujhe

Who bhi hairat khana e amroz o farda hai koi?

Aur piker e anasir ka tamasha hai koi

Admi wan bhi hisar e gham mein hai mehsoor kya?

Uss walayat mein bhi hai insane ka dil majboor kya?

Wan bhi jal merta hai soz e shama per parwana kya?

Uss chaman mein bhi gull o bulbul  ka hai afsana kya?

Yan to ek misre mein phla se nikal jata hai dil

Shair ki germi se kya wan bi phigalta jata hai dil

Rishta o pewandiyan ke jaan ka azaar hain

Uss gulistan mein bhi kya aesa nukila khar hain

Iss jahan mein ek maeeshat aur so uftad hai

Rooh kya  uss daes mein iss fikar se azad hai?

Kya wahan bijli bhi hai, dehqan bhi hai, kherman bhi hai?

Kafle wale bhi hai Andaisha rehzan bhi hai

Tinke chunte hain wahan bhi Aashiyan ke wastay

Khishat-e-gill ki fikar hoti hai makan ke wastay?

Wan bhi insane apni asliyat se begane hain kay?

Imtiaz e millat o aeen ke diwane hain kya?

Wan bhi kya faryad e bulbul per chaman rota nahi?

Iss jahn ki tarah wan bhi dard e dil hota nahi?

Bagh hai fardous ya ek manzal e armhai?

Ya rukh e be perwa husn e azal ka naam hai

Kya jahanum maseeyat sozi ki ek tarkeeb hai?

Ang ke sholon mein pinhan maqsad e tadeeb hai?

Kya ewz rafter k us dais mein parwaz hai

Mout kehte hain jise ahle zameen kya raaz hai?

Iztarab e dil ka saman yan ki hast o bood hai

Ilm e insane us walyat mein bhi ky mehdood hai

Deed se taskeen pta hai dil e mahjoor bhi

Lan tarani keh rahe hain ya wahan ke toor bhi

Justujoo mein hai wahan bhi rooh ko aram kya

Wan bhi insane hai qateel e zauq istafham kya?

Aah wo kishwar bhi tareeki se kya mamoor hai

Ya mohabbat ki tajalli se sarapa nor hai?

Tum bata do raaz jo is gunbad e garden mein hai

Mout ek chubhta howa kanta dil e insane mein hai

English

The Interrogation of the Dead

The bright sun is hidden the night shows its face

The night’s hair is spread on shoulders of the earth

This black dress is preparation for some one’s mourning

Perhaps the natures assemblage for the sun is mourning

The sky is casting a spell over the talking lip

The nights magician is watching the awakened eye

The wind current is submerged in the river of silence

However, the tolling bells sound comes from the distance

Heart which in loves turmoil is evading the world

Has dragged me here far from the maddening crowd

I am the spectator of the spectacle of disappointments

I am the associate of those sleeping in solitudes corner

O my restlessness wait and let me rest a while

And let me shed a few tears at this habitation

Is that world also one of prevarication?

Is that world also one of denizens struggle?

Is man engulfed by sorrow in that land also?

Is mans heart suppressed and helpless in that land also?

Does the moth burn itself in candles love in that land also?

Does the tale of flower and nightingale exist in that garden also?

Does the moth burn itself in candle’s love in that land also

Does the tale of flower and nightingale exist in that garden also?

In this world a single hemistich perturbs the heart

Does there also the warmth of verse soften the heart?

The daily bread and a million calamities this world has

Does the soul freedom from anxieties in that world has?

Are the thunder, the farmer the harvest there also?

Are the caravan and the robber’s fear there also?

Do birds collect bits of straw for nest there also?

Is the search for bricks and clay for house there also?

Are the humans unaware of their reality there also?

Are they after nation’s and customs discrimination there also

Does garden not cry at the nightingale’s wail there also?

Like this world is there no sympathy in that world also?

Full Book with Translation BANG-E-DRA

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *